Thursday 11 August 2016

VISHNU BHAGVAAN KE DARSHAN..

Aabhi kalyug apne joro pe aage badh raha hai vaise vaise bhagvaan vishnu ke avtaar ka samay nishit ho raha hai..
Prano ke anusaar-- jab is prathvi ke raja yani hamare mukyamantri,pradhanmantri,aadhi jitne mantri prathvi par hai jinka svabhav-thodi prasantta vala,atyant krodhi,sadev adharm aur jhoote bhasan me ruchii rakhne wala,istri ,balak,gaayon ki hatya karne wala,paraye dhan ko lutne wala,kam-sakti,choti aayu,aur lobhi honge..aur jab ye sabhi desonn ko mila denge tatha un desho ke rajaon matlab pradhan mantriyon ke aasay se hi apne ko balvaan batayenge,aur sari praja yani ham aam insaan ko nast brhast kar denge..,tab din-din dharm aur arth ka thoda-thoda hasya (majak) tatha chaay hone ke karan sansaar ka chaay bhi ho jayega,us samay arth hi kulinta ka hetu hoga,bal hi sampurna dharm ka hetu hoga,apne ander ka talent,ruchi hi sadi -vivah ke liye adhik hogi,tab istriyon me vivah ke liye kul,jatti ka bhed na hoga,jhoot bolna hi vyavhaar me safalta prapt karne ka hetu hoga,teerth asthaan ka koi kaam na hoga jo desh nagar achaa hoga log use hi teerth manenge,yagya puja karana hi matra brahman ka karya hoga,kapde aabhusan aadi hi prasansaa ka karan banenge,annay karke hi log apna pet bharenge,jo durbal aur nirdhan hoga vah bekkar hoga,nahana hi sadhan ka hetu hoga,daan hi dhar ka hetu hoga,swikkar kar lena hi vivah ka hetu hoga,arthhat sansaar aadhi ki apescha na kar parsparik snehbandhan se hi dampatya-sambandh isthapit ho jayega,achhe se ban than kar rahne wala hi taarif ke layak hoga,door desh ka jal hi teerth aadhi jaisa mana jayega,Is prakar pratvi mandal me vividh dohso ke fail jane se sabhi varno..matlab sabhi jatiyon ke log jo balvaan hoga jiske pass dhan hoga vahi vahi raja ban baithega..
is prakaar aatilolup rajaon ke kar-bhar ko sahan na kar sakne ke karan praja parvat-janglon ka aasray legi,tatha madhu,saak,muul,fal,patte aur phool khakar hi din kategi,pedon ke patee aur chaal hi pahhne aur odhne ke liye hi honge,adhik santane hongi,sabhi log thandi,garmi,hawa,dhoop,aadhi ke kast sahenge,koi bhi vyakti 23 saal ki umra ke upar jivit na rahega,IS prakar kalyug me yah sampurna jansamuday nirantar cheed hota rahega, is prakar shroot aur smartt dharm ka hasya ho jane tatha kalyug ke praya beet jane par SAMBHAL gram nivasi BRAHMAN SRESTHA VISHNUYASA ke ghar sampurna sansaar ke rachaiyta charachar guru,aadimayaantsunya,brahmay,atamswaroop bhagvaan VASUDEV apne ansh se astsvaryayukta KALKIROOP  se sansaar me avtaar lekar assem sakti aur mahatmay se sampann ho,sakal,maleysch,dasyu,dustachari tatha dust chiito ka chay karenge aur samast praja ko apne-apne dharm me niyukt karenge.. iske paschaat samast kaliyug ke samapt ho jane par raatri ke antt me jage huon ke samaan tatkaliin logon ki budhii swachh,esfatikmani ke saaman nirmal ho jayegi..un beejbhoot samast manuyosya se unki adhik  avastha hone par bhi us samay santaan utpann ho sakegi..unki ve santaane satyug ke hi dharmo ka anusaran karne wali hongi... TO IS PRAKARR  BHAGVAAN VISHNU KE HONGE KALYUG ME DARSHAN ....JAI HO VISHNU BHAGVAAN KI..

Wednesday 10 August 2016

...

<script type="text/javascript">
  ( function() {
    if (window.CHITIKA === undefined) { window.CHITIKA = { 'units' : [] }; };
    var unit = {"calltype":"async[2]","publisher":"ranj1234","width":550,"height":250,"sid":"Chitika Default"};
    var placement_id = window.CHITIKA.units.length;
    window.CHITIKA.units.push(unit);
    document.write('<div id="chitikaAdBlock-' + placement_id + '"></div>');
}());
</script>
<script type="text/javascript" src="//cdn.chitika.net/getads.js" async></script>

Monday 8 August 2016

VISWASS..

Aap soch rahe honge kya aisa hota hai.ye vrat puja anusthan ... to ye bilkul satya hai aisa hota hai,bas pooja vrat karne wali ki niyat achhi honi chahiye,nahi to ravan bhi kitna gyani aur vidvaan sare gun,charo ved,aur sampoorn lok ko janne wala tha par uski niyat nahi sahi thi usne sita maa ka haran kar liya bas be maut mara gaya.... to isliye hame vrat rakne aur manokamna ko puri ho jane ke liye hitkari manokamna hi mangni chahiye jisme dusro ka nuksaan ya unka ahit chupa ho aise kaamna nahi karni chahiye..hame umeed hai aap sab samjh gaye honge..
mai apne bare me batana chahungi mai bahut paresan rahti thi har din gussa ,tainson duron ke upar gussa karna aur bahut kuch dusre lafjo me kaha jaye to ai apni jindgi se bahut paresan thi..fir ek dn mai raat me so rahi thi to mujhe bhagvaan vishnu ke sheshnaag ke darshan hue ...dar ke mare mai pasina pasina ho gayi maine hath jod ke chama mangi aur agle vrahspativaar se vrat karne ka nischay kiya maine sara saman mangaya kele ka chota ped gamle me laga hua aur gudd, daal chane ki daal,pila vastra bhagvaan vishnu ki photo aur jo pooja me lagta hai uske baad maine pooja path ki viswaas maniye mai kya batun mere pass lafj nahi hai,jo chain sukun mila us din pooja path karke sayad vo bachpan me milta hoga sari baton paresaniyon se anjaan jo maa ki god me milta tha,us din maine bilkul gussa nahi kiya mai office jati thi to sabhi mujhe dekh ke hairan the ki aakhir maim ko hua kya jo itni sant hai chehre pe mano ek chamak si thi jaise us samay hoti hai jab koi pyari si chij jiski ichaa barso se ho mil gayi ho..ek vrahaspativaar nikal gaya daily office jati thi jis gusse ki vajah se mere bahut se kaam ruk jate the vo aise ho rahe the jaise samne wala isvar hi ho jo meri har sahyta kar raha ho..dhire dhire mere 7 vrat pure hue aur mai bilkul badal gayi..jis manokamna ko leke maine vrat rakhe the vah puri hui par maine 21 vrat rakhe ab sabhi log office ke mujhse puchne lage ki aakhir kya aur kaise apke behavier me parivartan hua...maine sabko bataya yahan tak mere boss bhi vrat rakhna suru kar diye aur sab ki jindgi me mano bahar a gayi.. lekin haan mai ye nahi kahti ki hamesa khusiyan hi rahti hai utaar chadhav hamesa bane rahte hai..un dino me isvar sadev apke sath rahta hai.sastro ke anusaar kalyug me thodi si ki gayi pooja hame mokch dila sakti hai jo ki satyug treta dvapar yug me kadi tapsya se prapt hoti thi..isiliye doston...karm dharm aur punya jarur karna chahiye kyonki har pal har saans me kiye hue har paap aur punya ki ginti un upar baithe swami yamraj aur unke duut karte hi rahte hai...

aajkal tv vyagarh me bahut add aate hai dhan lakshmi yantra,hanumaan ji ka locket aur na jane kya kya??? agar ise ghar me rakhne ya pahnne se hi sab kuch mil jata to duniya aaj ghar me hi baithe hoti bagair karm,kiye kisiko fal prapt hua hai jo hame mil jayega ..isliye ye sarir hame mila hai dharm,karm,punya karne ke liye to hame yahi karna chahiye apne jivaan ko aise hi na gavaye ..upar ja ke sabka hisab hota hai..chahe vo raja ho ya bikhari..us isvar ke liye sab saman hai..

agar meri baat se sahmat hai to comments kijiye.... dhnyavad.

Sunday 7 August 2016

UDYAPAN

UDYAPAN KI VIDHI.
jo log 7 vrat ya 9 vrat ya 21 vrat ya 101 vrat rakhte hai unhe udyapan karna jaruri hota hai,aur jo jivan pariyant tak vrat rakhte hai,vah apni marji se kabhi bhi kisi gareeb ya brahman ko daan aadi kar sakte hai..unhe udyapan ki jarurat nahi hoti ..

jis din aakhiri vrat ho us din subah pooja path kar 7 brahan ya 7 istri ko kheer poodi ya dahi poodi khilaye aur ann vastra fal daan de ,mudra daan kare aur un sabhi ka aashish le..man me ye kahe ki hey isvar hamne apka vrat vidhivat purna kiya ab aap hamare sabhi kast ko har le aur hamari manokamna purna kare.. dhyan rahe vastra me pila rang hi daan kare..agar aap ki ichha ho to nirdhan garibo ko bhi ann vastra aadi bhi daan kar sakte hai..

BOLO VRAHSPATIDEV BHAGVAAN KI JAI...




VRAHASPATI DEV JI KI AARTI...

BOLO VRAHASPATI DEV BHAGVAAN KI JAI....

ARTI

OM JAI VRAHASPATI DEVA SWAMI JAI VRAHSAPATI DEVA
CHIN-CHIN BHOG LAGAON -2,KADLI FAL MEVA (OM)
TUM PURAN PARMATAMA TUM ANTER YAMI...SWAMI TUM ANTER YAMI,
PAR BRAMHA PARMESVAR-2 TUM SABKE SWAMI (OM)
CHARNA MRAT NIJ NIRMAL SAB PATAK HARTA ..SWAMI SAB PATAK HARTA 
SAKAL MANORATH DAYAK-2 ,KRIPA KARO BHARTA (OM) 
TAN-MAN-DHAN ARPAN KAR JO JAN SARAN PADE ..SWAMI JO JAN SARAN PADE
PRABHU PRAKAT TAB HOKAR -2,AAKAR DWAAR KHADE (OM)
DEEN DAYAL DAYANIDHI BHAKTAN HITKARI ..SWAMI BHAKTAN HITKARI
PAAP DOSH SAB HARTA -2 BHAV BANDHAN HARI (OM)
SAKAL MANORATH DAYAK,SAB SANSAY HARI..SWAMI SAB SANSAY HARI 
VISAY VIKAAR MITAO-2 SANTAN SUKHKARI (OM)
JO KOI AARTI TERI ,PREM SAHIT GAVEEN ...SWAMI PREM SAHIT GAYE
JETHANAND AANANDKAR-2,SO NISCHAY FAL PAVE.(OM)

     BOLO VRAHSPATI DEV  BHAGVAN KI JAI   

:-)   :-)





KATHA PAGE-2

Agle hi din vrahspativaar ka vrat karne ka nischay kiya us din vah jangal se lakdiyaan kaat ke sahar me bechne gaya to use pahle se adhik dhan mil gaya un paiso se vah chane aur gudd kharid kar kele ki jad me bhagvaan vishnu ki pooja ki to us din se uske sare kalesa door ho gaye,lekin agle vrahspativaar ko vah vrat karna bhool gaya to bhagvaan ne use bhool ki saja di ..us din us nagar ke raja ne ek mahan bhoj ka aayojan kiya aur sare nagar me ghosna kara di ki sabhi log hamare yahan bhojan kare jo nahi aayega use bhari dand diya jayega lakadhare ne ghosna to suni lekin sahar se lakdi bech ke aane me use der ho gayi to raja ke sainik use mahal pakad ke le gaye,vahan raja ne ek kach me bitha ke lakadhare ko khana khilaya to usne aasharya ghatna ghattte dekhi..us kach me ek khutii pe sone ka haar latka hua tha dekhte hi dekhte vah khuti haar ko nigal gayi raja ne haar ko gayab dekha to lakadhare ko jail e dalwa diya. lakadhara apne bhagya ko kosh raha tha ki use jagal me mile sanyasi ka smaran ho aaya thodi hi der me bhagvaan sadhu ke roop me aaye aur bole tune vrahspativaar ka vrat nahi rakha jiski vajah se tujhe paresani hui hai par ab tum bilkul chinta mat karo vrahspativar ke din tumhe karagr ke darvaje pe kuch paise pade milenge tum un paiso se saaman manga ke vrahaspativaar ka vrat karna tuare sare kast door ho jayenge,vrahspativaar ke din use pade hue paiso se usne vrat kiya to uske sare kast door ho gaye usi din raat me raja ke sapne me bhagvaan vishnu aaye aur bole hey raja tu us lakadhare ko chor de vah nirdos hai rani ka haar usi khuti par tanga hairaja subah utha to usne kach me ja ke dekha to khuti pe haar mil gaya usne raja ko karagar se mukt kar vastra aur aabhusan dekar vida kiya,tab lakadhara apne nagar ki or cal pada vahan pahuchkar usne kuaaien baag bagiche aadi dekhkar prasann hua aur pucha ye sab kisne banvaye hai logo ne bataya ki ye sab rani aur uski dasi ne banvaye hai ..raja jab apne ghar pahucha to rani ne uska bhavya swagat kiya .tab raja bola ki saptaah me ek baar to sabhi vrat karte hai mai roj vrat kiya karunga tatha din me 3 baar katha kaha karunga ab raja apne dusale me har samay chane ki daal bandhe rahta tatha ek samay hi bhojan karta.ek din use apni bahan ki yaad aaayi to usne rani se kaha ham kuch din ke liye apni bahan ke ghar hoke aate hai lautte samay use bhi sath le aayenge.vah ghode pe sawar hoke nagar ke bahar pahucha hi tha ki kuch logo ko usne savv le jate hue dekha use yaad aaya ki usne aaj kisi ko kataha sunayi hai,vah un logo se bola are bhaiyon mujhse vrahaspativaar ki katha sun lo kuch logo ne kaha tum pagal to nahi ho gaye lekin kuch logo ne kaha achaa bhaiya sath chalte chalte tu bhi apni katha suna lo rana ne katha aadhi hi sunayi thi ki sav hilne laga aur katha puri hoti hi vah raam raam kahke uth gaya..logo ne hairani se daton tale ungali dabayi aur agle din se hi vrahaspativaar ka vrat aur katha sunne ka nishay kiya..raja aage chalne laga ek gaanv ke kinare ek kisan apne khet me hal chala raha tha raja ne kisan se kaha bhaiya meri katha sun lo kissan jhuljhula ke bola dekh nahi rahe khet jot raha hoon jab tak tumari katha sununga utni der me poore khet me hal chala lunga kisan niras hoke aage badhne laga tabhi kissan ke bail ladkhada kar jameen par gir gaye aur kisaan ke pet me bhi bahut tej dard hone laga tabhi uski maa khet pe roti le ke aayi to usne iska karan pucha to usne sab bataya vah daudi daudi raja ke pass gayi aur boli aap hamare khet pe katha sunaye raja ne katha sunayi to kisan ke pet ka dard bilkul thik ho gaya aur bail bhi khade ho gaye.raja vahan se chalkar apni bahan ke ghar pahucha bahan ne uski bahut aav- bhagat ki agle din jab raja so ke utha to usne dekha sabhi log bhojan kar rahe hai vah kisi bhuke vyakti ko bina katha sunaye bhojan nahi karta tha tab usne apni bahan se kaha bahan kya ghar me koi aisa vyakti nahi hai jisne abhi tak bhojan na kiya ho,bahan boli apko ghar me to kya pure nagar koi aisa vyakti nahi milega jo bhuka ho tab bhai ne ghar se nikalkar bhukhe vyakti ki talash karne laga ek gadariye ke ghar me uska bimar beta tha usne bimar hone ke karan khana nahi khaya tha raja ne use ja ke kath sunayi to beta bilkul thik ho gaya..kuch din bitane ke baad usne bahan se kaha ab ham apne ghar ko jayenge tum bhi sath chalo kuch din rahke vapas a jana bahan ne saas se poocha maa mai apne mayke jana chahti hoon to saas ne tane dete hue kaha "bahu mayke jana hai to akeli hi janA mere poton ko mat le ke jana tumare bhai ki koi santaan nahi hai kahi tumari bhabhi uspe koi tona - toka na kar de,dusre kach me bahan ki saas ki bate sunkar bhai akela hi nagar ko laut aaya tab rani ne pucha aap to bahan ko lane ko kah kar gaye the fir kya hua?to raja ne kaha ham nirvansi hamare ghar koi aana pasand nahi karta.tab rani ne kaha hey praan nath aap chintit na ho vishnu bhagvaan ne hame sab kuch diya putra bhi avsaya denge agale din unhone pooja karte hue bhagvaan vishnu se yah prathna ki to agle din raja ke sapne me bhagvaan vishnu aake bole tumari manokamna avasya puri hogi,10 mahine hi rani ek sundar putra ko janam diya aur rani raja jeevan pariyant karte rahe..isi prakar bhagvaan vishnu ki jo bhi istri purush vidhipurvak vrat katha sunte hai aur vrat rakhte hai bhagvaan unki sabhi manokanaye puri karti hai. BOLO VRAHASPTI BHAGVAAN KI JAI.. 

Saturday 6 August 2016

VRAHASPATIVAAR VISHNU BHAGVAAN KI VRAT KATHA..

KATHA..
Sabse pahle vyakti ko hath me chane ki daal aur gudd ko pakad lena chahiye aur jaykara laga kar bolna chahiye "BOLO VRAHASPATI DEV BHAGVAAN KI JAI "ab hame katha suru kani chahiye..katha is prakar hai.Pracheen samay me aryavatt me digvijay namak ek raja tha,vah apni praja ke sukh dukh ka bahut khyal rakhta tha,pratyek vrahspativaar ko vrat rakhta tha,lekin uski rani ko yah sab pasand nahi tha na to vo kisi ko daan deti thi na kisi bhuke ko ann vastra daan karti thi,na hi raja ko karne deti thi,ek baar jangal ke kuch hinsak jaanvaro ne nagar me ghuskar nirih logo ko marna suru kar diya tab praja ke logo ne raja se jangi janvoron ki utpaat ki sikayat ki to vah svayam hi unke sikaar ke liye nikal pada idhar rani mahal me aaram se jhula jhool rahi thi,usi samay bhagvaan vishnu ek brahman ke roop me vahan pahuche aur bhiksha mangne lage to rani gusse me boli hey bhishuk! subah se bhiksha dete dete to mai thak gayi hoon,logo ko daan dene ke liye to mere patti hi bahut hai,ve har samay bhichukoon ko daan,aann vratra aadi dete rahte hai,unke is tarah ke daan dene se to mai bahut tang a gayi hoon,isse to acha hai ki mera sara dhan nast ho jaye,taki ham pratidin ke daan dene ke kast se mujti pa sake,rani ki baat sunkar vrahaspati dev man hi man muskurate hue bole hey rani! teri manokamna avsya puri hogi.tum is samasya se chutkara pana chahti ho to vrahspativaar ke din suryaday se purva mat uthna jab surya ki tej dhoop tumare bister pe aa jaye tab uthna aur sar se paanv tak sannan karna aur apne lambe balon ko avasya dhulna,raja se kahna vo hajamat banvaye,khane me maans,mandira aadi hi dena niranter saat vrahspativaar tak aise karne se tumhe avasya hi dhan ki musibat se chutkara mil jayega.itna kahkar bhichukrupi bhagvaan kuch door chalkar anterdhyan ho gaye,rani apne pati ki daan dene ki aadat se paresan ho chuki thi tabhi usne bhichuk ki batayi baaton ka palan karne ka nischay kiya.raja ne use aisa na karne ko kaha lekin rani ne use dhamki di ki yadi tum mere bataye anusaar na chale to mai ye mahal chor ke chali jaongi,vivas raja ko rani ki baat manni padi teen vrahspati vaar hi bite the ki uska sara dhan samapat ho gaya aur vah dane dane ke liye tarasne lagi,dusro ko ann vastra aadi daan karne wala raja aann ke abhav me bhunko marne laga,tab usne rani se kaha mai ab pardes ja raha hoon vahan kuch kaam dhanda karke apna pet bharunga..ab ham is nagar me nahi rahenge yahan to ham kisi se bhiksha bhi nahi mang sakte log hamara kitna apman karenge,aisa kahkar raja pardes chala gaya aur vahan jaakar raja jangal se lakdiyaan kaatkar sahar me le jake bechne laga,jisse vah apna pet hi bhar pata tha,idhar rani apne purane dino ko yaad karke aansu bahati rahti aur kai kai din bhoonke pyasi rahti,tab use dhyaan aaya usne dasi se kaha hey dasi sameep ke nagar me meri ek bahan rahti hai vah bahut hi dhanvaan hai tu uske pass ja aur 5 sher aanaj le aa us aanaj se kuch din to pet bharenge fir kahin mehnat majduri karke kaam chalayenge. rani ki baat sunkar dasi us nagar ki or chal padi jab dasi rani bahan ke ghar pahuchi to vah pooja paath kar rahi thi us din vrahspativaar thi dasi ne paanch sher aanaj maanga lekin uski baat ka koi uttar rani bahan ne na diya vah pooja me vyast thi,thodi der baith dasi vahan se laout aayi aur rani se boli,!hey rani tuari bahan abhimani adhik dhan hone ke karan vah kisi ki baat nahi sunti meri baat ka bhi koi uttar na diya to rani ne kaha dasi yah sab hamare bhagkya ka dosh hai jab bure din aate hai to apne bhi muh mod lete hai,udhar pooja-paath ke baad jab rani ne dasi ki aur dekha to vah vahan nahi thi,rani ne socha avsya hi hamari bahan pe koi paresani a gayi hai isliye usne 5sher aanaj mangaya hai,yah soch vah ghoda gadii me savar ho bahan ke yahan pahuchi usne kaha- rani bahan mujhe chama karna jab tumari dasi aayi thi to vrahspativaar ki pooja kar rahi thi us samay na hi bolte hai aur na hi uthte hai,isiliye mai na boli..rani ne kaha tum to sab janti ho aisa kah ke sari vyatha katha kah dali rani ki bahan ne rani se kaha bahan mai vrahaspativaar ka vrat karti hoon vo sab ka kalyaan karte hai,tum bhi unka dhyan laga ke kisi kash me ja ke dekho sayad kahi aanaj rakha il jaye bahan ki baat sunkar usne socha avasya hi meri bahan mujhse uphaas kar rahi hai.leki bhagvaan ka smaran kar jab vah ek kasch me gayi to use ek ghade me aanaj rakha hua mil gaya .rani yah dekh ke bahut prasaann hui aur boli bahan mujhe bhi vrat katha ki vidhi batao mai bhi vrat aur poojan karungi tab rani ki bahan ne use sari katha aur vidhi batayi to agle hi vrahaspativaar se rani ne vrat rakhna suru kiya kahi se been kar gudd aur chane ki daal se kele ke vraksh me pooja ki aur katha suni lekin ab use pila bhojan kahan se prapt ho jo vah bhog lagaye to vah man hi man paresan hone lagi idhar rani ke vidhivat vrat karne se bhagvaan aati prasann the vah apna roop parivartit kar do thaliyon sundar pila bhojan laye aur dasi se bole yah mai tumare aur rani ke liye laya hoon rani aur dasi ne bhagvaan ko bhog laga ke prasad grahan kiya aatah niranter vrat karne lagi unke ghar me pahle ki tarah dhan ki varsa hone lagi,rani pahle ki hi tarah alsi ho gayi ek din usne kisi bhischuk ko bheekh diye bina hi lauta diya to dasi boli badi musibaton se hame yah dhan miia hai hame is par abhiman nahi karna chahiye atah ham nirdhan kanyaaon ka vivah karenge kuaaen,baag-bagichee,aadi banvayenge aur unhone aisa hi kiya to rani ki har jagah prasansaa hone lagi,dhan pakar rani ko raja ki yaad satane lagi tabhi usne bhagvaan se prathna karte hue kaha hey prabhu mere pati ghar lautne ka smaran karaye,usi raat sahar me rah rahe lakadhare ko bhagavan ne swapn me darsan dete hue kaha hey lakadhare tujhe teri patni yaad kar rahi hai tu sighra hi ghar ko laut ja.. subah jab lakadhara utha to vah sochne laga pata nahi karmo ki mujhe saja mil rahi hai pati to khane aur pahhne ki aadi hoti hai mai to kuch bacha bhi nahi paya aise me vapas kaise jaoon,usi samay bhagvaan brahaman ke roop me us lakadhare ke pass aaye aur bole hey tu kis soch me dube ho? lakadhare ne apni sari vyatha katha un brahman ko suna di unhone kaha -tum paresan mat ho tumari patni ne aalasya ke karan bischuk ko daan nahi diya tha isiliye tujhe kast hua.ab tum vrahspati vaar ka vrat rakh kr pooja karna aur katha sunna tumare sabhi kast door ho jayenge.lakadhara bola hey sadhu!lakadiyaan kaat ke lane aur use bechne me itna hi dhan milta hai ki mai apna paet bhar saku bhagvaan ki pooja ke liye dhan kahan se laaon sadhu ne kaha tum chinta mat karo tum sahar me ja ke lakadiyaan bechana tumhe us din se jyada dhan milega jisse tu pooja ka saman la sakoge .aur vrat katha is prakar hai suno..
Pracheen samay me basantpur nagar me ek nirdhan brahman rahta tha,uske koi santaan nahi thi,uski patni bahut fuhad istri thi,vah kafi dhoop nikalne ke baad uthti thi aur pratidin snan bhi nahi karti thi,bhagvaan ki pooja karne ki to kabhi sochti hi nahi thi,subah uthte hi pahle vah bhojan karti thi,brahamn apni patni ke aacharan se bahut dukhi rahta tha,bhagvaan ki anukampaa se unke ghar ek sunder kanya ka janam hua brahman uske janam se bada dukhi rahne laga,kanya dhire dhire badi hone lagi bachpan se hi us kanya ki ruchi bhagvan vishnu ki pooja me thi,vah roj subah uthkar pooja karti aur jab pathsala jati to mutthi bhar jaoon apne raste me bikhra deti aur vapas aati to vah danesone ke dane me bade najar aate jise vah sare dane been lati .ek din vah sone ke dano ko saaf kar rah thi tabhi uski maa ne kaha beti sone ke dano ko saaf karne ke liye sone ka soop bhi hona chahiye agle din vrahspati vaar tha usne bhagvaan se prathna karte hue kaha yadi mai apki pooja vidhivat ki hai to mujhe sone ka soop de do vah pathsala ke marg me jaoon dalti hui gayi aur jab pathsala se vapas aayi to use sone ka soop pada mila aur vah ghar la ke sone ke dane ko shoop se pachdone lagi tabhi nagar ka rajkummar vahan se gujra aur us kanya ke roop aur karya ko dekh us par ohit ho gaya aur mahal aake usne us kanya se vivah ki ichha jatayi to raja ne mantri ko bhej kar brahaman se uski kanya ki vivah ki baat ki brahman taiyaar ho gaya aur dhulan banke vah kanya apni sasural chali gayi,kanya ke chale jane ki vajah se brahman fir gareeb ho gaya ek din halat se paresan ho vah apni beti ki sasural usse milne gaya aur sari baat batayi beti ne bahut sa dhan deke pita ko bida kiya brahman ke kuch din to aaram se kate fir vahi halat ho gayi brahaman fir apni beti ke pass gaye.beti boli pita ji aap kab tak mujhse dhan leke jeevan yapan karte rahenge aap aisa kuch kyn nahi karte jisse ghar dhan sampatti se bhar jaye,pita ne kaha maine teri maa ko bahut samjhaya par vah nahi manti hai tab kuch sochkar beti ne kaha pita ji aap kuch dino ke liye aa ko mere pass chor jaiye brahman ne aisa hi kiya uski maa uski sasuraal aayi to beti ne maa se kaha maa aap subah uthkar snanaaadi karke bhagvaan vishnu ki pooja karna lekin uski maa ne uski koi baat nahi mani aur khana khane lagi beti ko bahut gussa aaya usne apni maa ko ek kash me band kar diya aur agle din snnanaadi karke bhagvaan vishnu ki pooja karayi to uski buddhi me parivartan hua aur vah jeevan paryant bhagvaan vishnu ka poojan aur vrat karti rahi unke ghar me dhan ki varsa hone lagi aur vah dono dharti ke sabhi sukh bhog ke sidhe baikunthdhaam chale gaye...
lakadhara bane raja ne sanyasi se vrahspativaar ki katha sunkar.............  agli post me dekhe..